How to Make Your Mother Smile ?
MAA JINDGI KA EK HASEEN LAMHA HAI HAI,
MAA JINDGI KA EK KHOOBSURAT PAL HAI.
MAA JINDGI KI SOOKUN BHARI AHSAS HAI,
MAA SE HAI JINDGI,,,JINDGI SE HAM HAIN.
MAA KE PYAR BINA,,,ADHURA HAI YE JAHAN SARA,
MAA KA PYAR SACCHA HAI,,,SACH KE BINA JAHAN KAHA.
Mai agar apne maa ki baat karu to ek aisi image man me aa jati hai ki use pyara kuch bhi nahi hai.
Meri Maa bahut hi sidhi-saadi aur sacchi hai.
Kahte hain Maa bacche ki pahli Guru hoti hai, bacche sari jindgi usi raastey pe chalte hain jo use Maa
Se sikhne ko milta hai. Example: Veer Shivaji aur unki Maa Jijabai ji.
Maa aur bête ke rishtey is example se bahut clear ho jaate hain:
Kalam sir jab bacche the to apne pariwar ke sath khana kha rahe the aur khana khate wakt unhe
Jab aur roti ki bhukh lagi jo unhe chahiye thi to unhone Maa se aur roti mangi aur kha liya, jab sabne
Roti kha li to Kalam sir ke bade bhai ne unhe akele me bulakar Kalam sir ko daata ki tumne Maa ke
Hisse wali roti kha li, aur kaha apne Maa ko bhukha mat maaro, aur fir kyat ha, Kalam sir gaye aur
Jakar Maa se lipat gaye. Apne life me maine bahut se utar charav dekhe hain aur in tamam utar
charavo ke bich maine sirf apni Maa ko dekha hai jo sirf aur sirf wo akeli is dunia me thi jisne sach me
pyar se hamara sath nibhaya. Maine Maa ka wo adbhud mahaan roop bhi dekha hai jab wo apne
baccho ke liye kisi bhi hadd ko paar karne ki takat rakhti hai,.
Meri bahut trust karti hai, uska unconditional love aisa hai ki jab bhi mai kisi mushkil halaat me hota
hu, ya fir tabiyat thik nahi hoti hai to aksar pata nahi kaise Maa ko sab pata chal jata, wo phone karti
hai aur kahti hai bete tu thik to hai,dil ghabra raha tha ya fir ye kahti hai teri bahut yaad aa rahi thi.
Agar mai sochta hu ki Maa ke is pyaar ke badle maine diya kya hai ? to mere jaisa bura shayad hi is
dunia ka koi baccha ho jisne Maa ke liye kuch nahi kiya, fir bhi,,,Maa to Maa hi hoti hai,,itna kuch
kiya bachpan se baccho ka bojh uthaya par fir bhi thaki nahi,,Maa ko sirf itna pata hota hai aur kuch
is tarah se kahti hai “Beta mai ap logo ke liye kuch nahi kar paayi”.
Kitni pavitra paavan hai Maa. Aur abhi bhi wo kuch nahi mangti aur agar maine kabhi kuch kah bhi
Diya to pyaar se taal jaati hai aur kahti hai “apne khyal rakho”. Time se khate ho ya nahi,, time se khaa
Lena,,tune khaa liyaa,,kab khayaa.
Aisi devi ya fir Maa ko samajh me nahi aata hai ki aakhir diya kya jaaye ? jo kuch bhi dunia me hai wo
Maa ke pyaar ki barabari nahi kar sakta hai, wo Maa ke pyaar ke samne fika sa lagta hai.
Ab sawal ye hai ki aisi Maa Ko khush kaise Karen? Agar mai Maa ke paas hota hu aur wo kuch apne
Hatho se dish prepare karke khila de.
Mera manna hai ki Maa ka bahut khyal rakhna chahiye aur jitna ho sake uski baat jarur manni chahiye.
Ek aur baat Maa ke liye,,ajkal time kam hai sabke paas lekin Maa ke liye time jarur nikalen.
Baat maa ki ho to kalam sir ki baat yaad ana jaruri haii,, jo unhone apni book sukhi pariwar smriddha
Rashtra me ki hai,,
“maatao ke charno me saara aasmaan jhukta hai”
THE HOLY QURAN
Maa ke charno me baar baar sar jhukata hu….VANDEMATRAM.